Jaise aisaan utaarta hai koi
Hum ko is ghar main janta hai koi
Paak gaya hai shazar pe pehal shayad
Phir se patahar uchalta hai koi
Phir nazar main lahu ke cheete hai
Tum ko shayad mughaalatta hai koi
Der se gunjate hai sanaate
Jaise humko pukarta hai koi!!!!!
Phir kisi shakh ne phenki chhaon
ReplyDeletePhir kisi shakh ne haath hilaya
Phir kisi mod se uljhe paanv
Phir kisi raah ne paas bulaya.
Lab pe aata nahi tha naam unka
Aaj aaya toh baar baar aaya
Bewajah beqraar rehte they
bewajah aaj phir qaraar aaya.
Hum toh bhule hue they dil ko magar
Dil ne kyun aaj humko yaad kiya
Kyun kureda purana zakhm usne
Kyun kisi bhule gham ko yaad kiya.